Baarish ki woh pehli boondein
Jab dharti ko sparsh kar gayi
Aisa laga jaise ki maano
Tu yahin kahin se guzar gayi
Woh khushboo thi geele zameen ki
Ya tha tere badan ka ehsaas
Bahar khade unn boondon ko dekh
Laga jaise tu yahin kahin hai aas paas
Dhundli si khidhki pe tha kiska chehra
Tha aankhon ka vehem ya yaadon ka pehra
Main jaanta hoon tum ho yahaan se meelon dur
Par yeh pagal mann mera jhoome hai yaad karke tere hi suroor
Geeli zulfein teri jab tu sehlayegi
Har saans ki kasam mujhe tu hi tu yaad aayegi
Dil chahta hai ki tujhe bana loon apna hamesha n forever
Par azad panchi ko quaid kar paana is possible never
Tujhse judaa hoke reh lenge hum
Teri yaadon mein gharonda basa lenge hum
Pyaar se zyada khushi koi de payee tujhe jo
Uss khushi ke liye judaai ka dard bhi seh lenge hum
No comments:
Post a Comment